Apni aukhaat.....

jaffar08

New Member
:salam2:

Char din ki zindagi ko sab kuch bana baitha hai
duniya ko apna samajh ke khuda ko bhula baitha hai.

kya kabhi socha hai tu aaya kahan se hai
sochega kaise duniya ko apna mukaddar bana baitha hai.

sochta hai, paisa banaaunga apni zindagi banaaunga
zindagi banaane ke piche apni maut ko bhula baitha hai.

waqt ko taalne ki jaise fitrat banaali hai tune
duniya mein jis kaam se aaya hai, us ibaadat ko bhula baitha hai.

apne aap ko kabhi gaur se dekha hai tune
itna bhi samajh nahin aata ke khabar ko bhula baitha hai.

:salah:
 

hijab_sister

ALLAH is in my heart
salam
aha MASHA ALLAH bohat achi poem hey.
molana tariq jamil kehtey hain na k ALLAH k nazdik dunia macher k par jitni ahmiat rakhti hey.
yani hum log macher k par k pichey deewaney hoty hain.kitni ajjeb bat hey na hum logoo ney is dunia ko hi thikana bna lia hey halan k humara asli thikana to akhira hey.
ALLAH hum sab ko sidhey rastey pey chalney or riba sey door rehny ki istqamat aat karey.amin sumamin.
jazakallhum khair brother for sharing.
FI AMANILLAH.
 

zakiyah

muslim sis
asalamu alaikum warahmatullahi wabarakatuhu!
parh kar waqai aqal tikhaanay aa gai hai.hum dunya mei aey kisi aur kaam se hai aur kar kuch aur rahay hai.phir kehtay hai ALLAH (SWT) pata nahi humein khushian,sehat,dolat ,izzat ,shohrat kab de ga.humaray eemaal theek hongay to ALLAH (SWT) inshallah humey yeh sab kuch zarror de ga.dunya mei bhi aur akhirat mei bhi inshallah.AMEEN:tti_sister:
:salam2:
 

abubaseer

tanzil.info
Staff member
As Salaam Alaykum Brother Jafer,

JazakAllah for sharing...

Just curious, are you from Hyderabad because you write awqat as awkhat
 

jaffar08

New Member
Va aalaikum assalaam abubaseer bhai,

Haan main hyderabad se hun. filhaal Germany mein hun. bus yeh website dekha to dil ki baatein likh raha hun. Allah ka fazal hai koi to inhein padh raha hai. Shukriya.....
 

abubaseer

tanzil.info
Staff member
Nahee Bhai, you have written good one.

Germany ke logo ko Germs kyo nahee bolte hai...LOL
 

Mohsin

abdu'Allah
:salam2:
MashaAllah nice poem, waqai auqat yaad dila di aapne. Brother Shahzad very rightly said
auqat yaad dilanay ka shukria
:SMILY149:
Mujhe jaanke khushi huee ke mashaAllah yahan kafi sare Urdu jaan ne wale hain :SMILY288:

P.S. Waise maine bhi kucch aisa sa hi likha tha kafi pehle, mulahiza farmayen - YAHAN CLICK'YE :SMILY149:
 

jaffar08

New Member
Har labj....

:salam2:

Khuda ki taarif karne ke liye dil chahiye
zubaan pe Allah lane ka jigar cahiye.

samundar ki zaroorat nahin hai
sirf aur sirf do boond alfaaz kafi hai.

Har thokar ke baad jo tera dil samhalta hai
us har ihsaan mein khuda ki rehmat nazar aati hai.

Koi kehta hai main Allah ko kaise dekhun
koi kehta hai main Allah ko kaise pehchaanun.

khuda ko jaanne ke liye kisi gair ki zaroorat nahin
dil se pukaar ke dekh, taarif ke liye zindagi kaafi nahin.

:salah:
 
Top