Namaaz Ka Tarjumah

muslimah_786

Junior Member
:bismillah:
Asalaam alaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Mein namaaz ka tarjumah lik rahi hoon q k buhut se aase loog hain ju namaaz partey hain lekin ye ma'aloom nahi huta ke kia kah rahe hain Allah ta'ala se. aur jalde jalde parke namaaz khatem kartey hain.
is liye hamarey liye zaroori hai ke hum namaaz ko samaj kar parhey.
waalaikum salaam warahmatullahi wabarakatuhu :hijabi:
 

samiha

---------
Staff member
Urdu (spoken by most muslims in India and Pakistan)

:salam2:

Jazakallah Khayr.

Umm.... urdu/hindi i thought it was something like that... many of my cousins know it, i don't so... i don't think i'll be of much help to whatever was written up there...:redface:

:wasalam:
 

samiha

---------
Staff member
:bismillah:

I'm gonna try this... i don't know like anything though...i only know Bangla so i'm kinda ajoining things that sound alike and working on this...

PLease tell me how wrong I am.. it will be interesting!!!


ok... so that's Salah

q k buhut

i remember when i was little i learned 'q' in either hindi/urdu was 'what' or 'why' but i'm not sure which... 'buhut' meaning like a lot of?? or many times??

Allah ta'ala
I like this one... Allah ta'ala

jalde jalde parke namaaz khatem kartey hain

ok now... 'jalde' means quickly right? so i assume park is park.. lol 'Khatam' is finish.. 'kartey' means like did..

so over all i guess it means 'i really really quickly finished Salah in the park'?? for that sentence??

very faulty and not good... but hey, if anyone has time and knows Urdu would u translate the real meaning?? :D :D :D

:wasalam:
 

rizzumd

Your brother
:salam2:
ok now... 'jalde' means quickly right? so i assume park is park.. lol 'Khatam' is finish.. 'kartey' means like did..
Sister, most of your guesses are correct except one.
It is not park.. muslima786 sister wanted to say 'padke' or 'parke' [many use these words interchangeably]. That means after 'after reading'.. jalde padke means 'after reading quickly'

Mein namaaz ka tarjumah lik rahi hoon q k buhut se aase loog hain ju namaaz partey hain lekin ye ma'aloom nahi huta ke kia kah rahe hain Allah ta'ala se. aur jalde jalde parke namaaz khatem kartey hain.
is liye hamarey liye zaroori hai ke hum namaaz ko samaj kar parhey.
Overall translation of sister muslima786 is -> "I am writing salat prayers translation because many peope don't understand what they recite/pray during their salat to Allah(swt) and they read/finish salat very quickly."

Alhamdulillah, I can understand urdu well as it is my mother tongue..
:wasalam:
 

samiha

---------
Staff member
Assalamu alaykum.

Jazakallahu Khayr.

lol. I don't know about any urdu lol... nope only Bangla here.

When we say 'after reading' we say.. 'poray' or like 'porar poray'

which is like after reading or having read...too different it seems...

lllolll u know how hard it is writing another language in English? lol.

anyway.... that was interesting! :D :D :D

Wassalam.
 

Globalpeace

Banned
Asslamo Allaikum,

Good idea Sis

Buhut Acha Kaam Kar Rahen Hain App...Agar koi Madad Chahiyay to Hum Sub Ko Batayey Ga

Translation: You are doing good work...Please let us all know if you need any help...

Jazakullah Khairun
 

muslimah_786

Junior Member
asalaam alaikum


نماز كا ترجمه.


1.ثناء
سبحانك اللهم وبحمدك وتبارك اسمك وتعالى جدك ولا اله غيرك
paak hai to ya ilahi or ham paki bayaan kateyn hain terey tareef ke saat. or baabarkat hai tera naam or buland hai teri buzurghi or terey siwa koi ma'abood nahi.
_______________________________________________________________

سبحانك اللهم وبحمدك
paak hai to ya ilahi or ham paki bayaan kareyn hain terey tareef ke saat.

وتبارك اسمك
or baabarkat hai tera naam.

وتعالى جدك
or buland hai teri buzurghi.

ولا اله غيرك
or terey siwa koi ma'abood nahi.
_______________________________________________________________
سبحان
paak hai

سبحانك
paak hai to

ك
to,terey,teri

اللهم
ya ilahi , ya Allah, A Allah.

و
or

ب
saat

حمد
tareef

وبحمدك
or terey tareef ke saat

تبارك
baabarkat

اسم
naam

اسمك
tera naam

تعالى
buland

جد
buzurghi.

جدك
teri buzurghi

ولا
or nahi hai

اله
ma'abood

غير
siwa

غيرك
terey siwa
_______________________________________________________________
 

muslimah_786

Junior Member
2.تعّوذ

:salam2:

2.تعّوذ

اعوذ بالله من الشيطن الرجيم
Mein panah chahti hoon Allah ki shaitan mardood se.

اعوذ بالله
mein panah chahti hoon

بالله
Allah ki

من الشيطن الرجيم
shaitan mardood se.
__________________________________________________
اعوذ
mein panah chahti hoon , mein panah lety hoon

بالله
Allah ki

من
se

الشيطن الرجيم
shaitan mardood
__________________________________________________
3.بسمله
بسم الله الرحمن الرحيم
shuru Allah ke naam ke saat ju badha meherbaan nahayat raham karne walla hai.

بسم الله
Allah ke naam ke saat

الرحمن الرحيم
ju badha meherbaan nahayat raham karne wala hai.
__________________________________________________
ب
saat

اسم
naam

الله
Allah ke.........بسم الله .. Allah ke naam ke saat

الرحمن
ju badha meherbaan , ju buhut meherbaan

الرحيم
nehayat raham karne wala , baar baar rehem karne wala.
__________________________________________________
w/salaaaaaaaaam
 

deen_islam_4ever

deen_islam_4every1
asalaaaaaaaaam

Asslamo Allaikum,



Agar koi Madad Chahiyay to Hum Sub Ko Batayey Ga

Translation: You are doing good work...Please let us all know if you need any help...

Jazakullah Khairun

:salam2:
thanks.:redface: ......mein namaaz ka tarjumah urdu mei lik rahein hoo. kia aap is ka translation kar ke english mei lik saktein hai kun ke yahaan kuch logo ko urdu nahi aati.
May Allah help you Jazakullah Khairun
:wasalam:
 

deen_islam_4ever

deen_islam_4every1
:salam2:
4.سورة الفاتحة

Is surah ka naam (surah-al-Fatiha) hai. Al Fatiha ka lafz (ف , ت , ح,) se hai.(فتح) arabic mei khoolney ko kahtey hain (مفتاح) chabi ya kunji ko kahtey hain.

Question: chabi se kia kartey hain?
Answer: jis se tala kulta hai.

(Al-Fatiha) ka matlab hai kulne waali.
Quran paah ki ebtada isi se hoti hai isi se Quran paak kulta hai , ebtada huta hai.


بسم الله الرحمن الرحيم
الحمد لله رب العلمين (1) الرحمن الرحيم (2) ملك يوم الدين (3) اياك نعبد و اياك نستعين (4) اهدنا الصراط المستقيم(5) صراط الذين انعمت عليهم غير المغضوب عليهم ولا الضّالين(6) امين

Sab tareef Allah ke liye hai ju sarey jahaan ka parwardigaar hai. Bakhshish karney wala , meherbaan hai. Roze jaza ka maalik hai.hum teri hi ebaadat kartey hain aur tuj hi se madad chahtey hain. hum ko seda raasta dika! un logo ka raasta (dika) jin par tu ne an'aam kia (aur) un logo ka raasta na (dika) jin par tu ghadab huwa aur na gumrahoon ka raasta. Qabool kar.
__________________________________________________________
الحمد لله
Sab tareef Allah ke liye hai , sab shukar Allah ke liye hai.

رب العلمين
ju sarey jahaan ka parwardighaar hai.

الرحمن الرحيم
Bakhshish karney wala , meherbaan hai.

ملك يوم الدين
Roze jaza ka maalik hai,badley ke din ka maalik hai.

اياك نعبد
hum teri hi ebaadat kartey hain.

و اياك نستعين
aur tuj hi se madad chahtey hain.

اهدنا الصراط المستقيم
hum ko seda raasta dika.

صراط الذين
un logo ka raasta.

انعمت عليهم
jin par tu ne an'aam kia.

غير المغضوب عليهم
un logo ka raasta na (dika) jin par tu ghadab huwa.

ولا الضّالين
aur na gumrahoon ka raasta.

امين
Qabool kar.
__________________________________________________________
الحمد
sab tareef , sab shukar.

ال
sab

حمد
tareef

لله
Allah ke liye hai.

رب
ju rab hai.

العلمين
tamaam jahanoo ka.

الرحمن
buhut meherbaan

الرحيم
baar baar rehem kerney waala.

ملك
maalik hai.

يوم
din

الدين
badley ke.

اياك
sirf teri.

نعبد
hum ebaadat kertey hain.

و اياك
aur sirf tuj se.

نستعين
hum madad chahtey hain.

اهد
dika

نا
hum ko

الصراط
raasta.

المستقيم
seda.

صراط
raasta.

الذين
un logo ka.

انعمت
an'aam kia tu ne.

عليهم
uper

غير
nahi, sewa.

المغضوب
ghadab huwa, naaraazgi hoi.

عليهم
uper

ولا
aur nahi

الضّالين
gumrahoon , wo bhatke howe hain.

امين
ََQabool kar.
___________________________________________________________

:wasalam:
 

deen_islam_4ever

deen_islam_4every1
asalaaam alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

:salam2:

5.سورة اخلاص


قل هو الله احد (1) الله الصمد (2) لم يلد ولم يولد (3)
ولم يكن له كفوا احد (4)

tarjumah: Keh du ke woh Allah eek hai. Allah be neyaaz hai. is ki awlaad nahi aur na woh kisi ki awlaad hai aur na koi is ke baraabar ka hai.
_____________________________________________________________
قل هو الله احد
Keh du ke woh Allah eek hai.

الله الصمد
Allah be neyaaz hai.

لم يلد ولم يولد
ki awlaad nahi aur na woh kisi ki awlaad hai.

ولم يكن له كفوا احد
aur na koi is ke baraabar ka hai.
_____________________________________________________________
قل
keh dijiye, kahu

هو الله
woh Allah hai

احد
yakta, eek

الله
Allah

الصمد
be neyaaz hai, sab is ke mahtaaj

لم يلد
na is ke koi awlaad hai.

ولم يولد
aur na woh kisi ki awlaad hai.

ولم يكن
aur nahi hai.

له
us ka, us ke liye

كفوا
hamsar bhi, baraabar ka.

احد
koi eek bhi.
______________________________________________________________
:wasalam:
 

deen_islam_4ever

deen_islam_4every1
asalaaaaaaaaaaaam

:salam2:

6. الله اكبر
الله اكبر
Allah sab se badha hai.

اكبر
badha.
_______________________________________________________________
7.ركوع كى دعا


سبحان ربّي العظيم
paak hai mera rab 'ezmat wala.

_____________________________________________________________
سبحان
paak hai

ربّي
mera rab

العظيم
'ezmat wala.

____________________________________________________________
8.قومه كى دعا

سمع الله لمن حمده
jis ne Allah ke tareef ki us ki Allah ne sunli. tareefain

ربّنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيّبا مّباركا فيه
A hamarey rab tere hi liye tamaam be shamaar tareefain hain ju (shirk o reya) se paak aur barkat waali hai.
_______________________________________________________________
الله اكبر
Allah sab se badha hai.
_______________________________________________________________
:wasalam:
 

deen_islam_4ever

deen_islam_4every1
asalaaam alaikum

:salam2:

_______________________________________________________________
9.سجده كى دعا
pahli dua

سيحان ربّي الاعلى (ترمزى)
paak hai mera buland parwardigaar.
______________________________________________________________
سيحان
paak hai

ربّي
mera rab

الاعلى
buland
_____________________________________________________________
دوسرى دعا.

سبحانك اللهمّ ربّنا وبحمدك اللهمّ اغفرلى (بخارى مسلم)
paak hai tu a Allah hamarey rab hum teri tareef kartey hain a Allah muj ko bakhash de.
_______________________________________________________________
سبحانك
paak hai tu

اللهمّ
a Allah

ربّنا
hamarey rab

وبحمدك
aur hum teri tareef kartey hain.

اللهمّ
a Allah

اغفرلى
muj ko bakhash de.

لى
muj ko
_______________________________________________________________
الله اكبر
Allah sab se badha hai.
_______________________________________________________________

10.جلسه استراحت كى دعا.
دو سجدون كى درميان كى دعا.

اللهمّ اغفرلى وارحمنى وعافنى واهدنى وارزقنى
A Allah muj ko bakhash de aur muj par rehem ker aur mujey 'aafiyat de aur mujey hadaayat de aur mujey ruzi de.
______________________________________________________________
اللهمّ
A Allah

اغفرلى
muj ko bakhash de

وارحمنى
aur muj par rehem ker

وعافنى
aur mujey 'aafiyat de

واهدنى
aur mujey hadaayat de

وارزقنى
aur mujey rozi de.
_______________________________________________________________
11.تشهّد

التّحيّات لله والصّلوات واطّيّبات اسّلام عليك ايّها انّبيّ ورحمة الله وبركاته اسّلام علينا وعلى عباد الله الصّالحين اشهد ان لاّ اله الاّ الله واشهد انّ محمّدا عبده ورسوله (متفق عليه)
saari hamd o sana aur namaazain aur paakiza chizain Allah ke liye hai. A nabi (SAW) aap par salaamati ho aur Allah ki rehmet aur us ke barkat naazil ho.salaamati ho hum par aur Allah ke neek bandun par.mein gawaahi deti hoon ke Allah ke siwaa koi m'aboot nahi aur mein gawaahi deti hoon ke beshak muhammad (saw) Allah ke bandey aur us ke rasul hain.
_______________________________________________________________
التّحيّات لله والصّلوات واطّيّبات
saari hamd o sana aur namaazain aur paakiza chizain Allah ke liye hai.

اسّلام عليك ايّها انّبيّ ورحمة الله وبركاته
A nabi (SAW) aap par salaamati ho aur Allah ki rehmet aur us ke barkat naazil ho.

اسّلام علينا وعلى عباد الله الصّالحين
salaamati ho hum par aur Allah ke neek bandun par.
اشهد ان لاّ اله الاّ الله
mein gawaahi deti hoon ke Allah ke siwaa koi m'aboot nahi

واشهد انّ محمّدا عبده ورسوله
aur mein gawaahi deti hoon ke beshak muhammad (saw) Allah ke bandey aur us ke rasul hain.
_______________________________________________________________
التّحيّات
saari hamd o sana

لله
Allah ke liye hai.

والصّلوات
aur namaazain

واطّيّبات
aur paakiza chizain

اسّلام
salaamati ho

عليك
aap par

ايّها انّبيّ
A nabi (SAW)

ورحمة الله
aur Allah ki rehmet

وبركاته
us ke barkatain

اسّلام
salaamati ho

علينا
hum par

وعلى
aur par

عباد
bandey

الله
Allah ke

الصّالحين
neek

اشهد
mein gawaahi deti hoon , mein shahaadat deti hoon.

ان
ke

لاّ
nahi

اله
m'aboot

الاّ
koi

الله
Allah ke

واشهد
aur mein gawaahi deti hoon , aur mein shahaadat deti hoon.

انّ
ke beshak

محمّدا
muhammad (saw)

عبده
Allah ke bandey

ورسوله
aur us ke rasul hain.
_______________________________________________________________
12.درود شريف.

اللهم صّل على محمد وّعلى ال محمد كما صلّيت على ابراهيم وعلى ال ابراهيم انّك حميد مّجيد
اللهم بارك على محمد وّعلى ال محمد كما باركت على ابراهيم وعلى ال ابراهيم انّك حميد مّجيد

targumah: A Allah! Rahmat beej Muhammad (saw) par aur aali Muhammad (saw)par jaise tu ne rahmat beeji Ibrahim par aur aali Ibrahim par beeshak tu tareef ke kabil buzurgi wala hai.
A Allah! barkat beej Muhammad (saw) par aur aali Muhammad (saw)par jaise tu ne
barkat beeji Ibrahim par aur aali Ibrahim par beeshak tu tareef ke kabil buzurgi wala hai.
_______________________________________________________________
اللهم صّل على محمد وّعلى ال محمد
A Allah! Rahmat beej Muhammad (saw) par aur aali Muhammad (saw)par

كما صلّيت على ابراهيم وعلى ال ابراهيم
jaise tu ne rahmat beeji Ibrahim par aur aali Ibrahim par

انّك حميد مّجيد
beeshak tu tareef ke kabil buzurgi wala hai.

اللهم بارك على محمد وّعلى ال محمد
A Allah! barkat beej Muhammad (saw) par aur aali Muhammad (saw)par

كما باركت على ابراهيم وعلى ال ابراهيم
jaise tu ne barkat beeji Ibrahim par aur aali Ibrahim par

انّك حميد مّجيد
beeshak tu tareef ke kabil buzurgi wala hai.
_______________________________________________________________
اللهم
Ya ilaahi, A Allah, Ya Allah.

صّل
Rahmat beej

على
par

على محمد
Muhammad (saw) par

وّعلى
aur par

ال محمد
aali Muhammad (saw)

كما
jaise

صلّيت
tu ne rahmat beeji

على ابراهيم
Ibrahim par

وعلى
aur par

ال ابراهيم
aali Ibrahim

انّك
beeshak tu

حميد مّجيد
tareef ke kabil buzurgi wala hai.

اللهم
Ya ilaahi, A Allah, Ya Allah.

بارك
barkat beej

على محمد
Muhammad (saw) par

وّعلى
aur par

ال محمد
aali Muhammad (saw)

كما
jaise

باركت
tu ne barkat beeji

على ابراهيم
Ibrahim par

وعلى
aur par

ال ابراهيم
aali Ibrahim

انّك
beeshak tu

حميد مّجيد
tareef ke kabil buzurgi wala hai.
_______________________________________________________________
درود شريف كى بعد كى دعا.

اللهم انّى ظلمت نفسى ظلما كثيرا وّلا يغفر الذّنوب الا انت فغفرلى مغفرة مّن عندك ورحمنى انّك انت الغفور الرّحيم.

A Allah! beeshak mein ne aapni jaan par buhut zulam kia hai.aur tere siwaa gunahoon ko koi nahi bakhashta. pas tu aapni jaanib semuj ko bakhash de aur muj par rehem kar beshak tu hi bakhashne wala meherbaan hai.
_______________________________________________________________
اللهم انّى ظلمت نفسى ظلما كثيرا
A Allah! beeshak mein ne aapni jaan par buhut zulam kia hai.

وّلا يغفر الذّنوب الا انت
aur tere siwaa gunahoon ko koi nahi bakhashta.

فغفرلى مغفرة مّن عندك
pas tu aapni jaanib semuj ko bakhash de

ورحمنى انّك انت الغفور الرّحيم.
aur muj par rehem kar beshak tu hi bakhashne wala meherbaan hai.
_______________________________________________________________
دوسرى دعا: 14.سيد الاستغفار

اللهم انت ربّى لا اله الا انت خلقتنى وانا عبدك وانا على عهدك ووعدك مااستطعت اعوذبك من شرّ ما صنعت ابوء بنعمتك علىّ وابوء بذنبى فاغفرلى وانّه لا يغفر الذنوب الا انت. .

Tarjumah: A Allah!tu hi mera parwardigaar hai.nahi koi mabood siwaay tere.tu ne hi muj ko peeda kia aur mei tera banda hoon aur mei tere ahad aur wadey par apne makroor bar kaim hoon mei teri panah chahti hoon apne amal ki buraai se . mei iqraar karti hoon teri namat ka ju muj par hai aur aapne gunahoon ka iqraar karti hoon phir tu muj ko bakhash de kunke tere siwa gunahoon ko koi nahi bakhashta.
_______________________________________________________________
اللهم انت ربّى
A Allah!tu hi mera parwardigaar hai.

لا اله الا انت
nahi koi mabood siwaay tere.

خلقتنى
tu ne hi muj ko peeda kia

وانا عبدك
aur mei tera banda hoon

وانا على عهدك ووعدك مااستطعت
aur mei tere ahad aur wadey par apne makroor bar kaim hoon

اعوذبك
mei teri panah chahti hoon

من شرّ ما صنعت
apne amal ki buraai se .

ابوء بنعمتك علىّ
mei iqraar karti hoon teri namat ka ju muj par hai

وابوء بذنبى
aur aapne gunahoon ka iqraar karti hoon

فاغفرلى
phir tu muj ko bakhash de

لى
muj ko

وانّه لا يغفر الذنوب الا انت.
kunke tere siwa gunahoon ko koi nahi bakhashta.
_______________________________________________________________

15.تيسرى دعا

اللهم انّى اعوذبك من عذاب القبر واعوذبك من فتنة المسيح الدّجّال واعوذبك من فتنة المحيا وفتنة الممات اللهم انّى اعوذبكمت الماّثم ومن المغرم

Tarjumah: Ya Allah! mein 'azaabe qabar se teri panah mangti hoon aur kaane dajjaal ke fitney se teri panah mangti hoon aur zindagi ke fitney se teri panah mangti hoon aur moot ke fitney se. Ya Allah! beshak mein gunahoon se aur qarz se teri panah mangti hoon.
_______________________________________________________________
اللهم انّى اعوذبك من عذاب القبر
Ya Allah! mein 'azaabe qabar se teri panah mangti hoon

واعوذبك من فتنة المسيح الدّجّال
aur kaane dajjaal ke fitney se teri panah mangti hoon

واعوذبك من فتنة المحيا
aur zindagi ke fitney se teri panah mangti hoon

وفتنة الممات
aur moot ke fitney se.

اللهم انّى اعوذبكمت الماّثم ومن المغرم
Ya Allah! beshak mein gunahoon se aur qarz se teri panah mangti hoon.
_______________________________________________________________
16.دعاء قنوت

اللهم انّا نستعينك ونستغفرك ونؤمن بك ونتوكّل عليك ونثنى عليك الخير ونشكرك ولا نكفرك ونخلع ونترك من يّفجرك
اللهم ايّاك نعبد ولك نصلّى ونسجد واليك نسعى ونحفد ونرجوا رحمتك ونخشى عذابك انّ عذابك الجدّ بلكفّار ملحق

Tarjumah: A Allah hum tuj se madad chahte hain aur tuj se bakhshish mangte hain aur tuj par imaan laate hain aur tuj par barosa rakte hain aur teri buhut achi tareef karte hain aur tera shukar karte hain aur na shukri nahi karte aur alag karte hain aur chodhte hai us shakhs ko ju teri na farmaani karte hai hain A Allah hum teri e'baadat karte hain aur teri hi liye namaaz padhte hain aur sajda karte hain aur teri hi taraf dorte hain aur khidmat ke liye hazir hote hain aur teri rahmat ke umeed waar hain aur tere a'zaab se darte hain bashak tera a'zaab haq kafiroon ko milne wala hai.
_______________________________________________________________
اللهم انّا نستعينك
A Allah hum tuj se madad chahte hain

ونستغفرك
aur tuj se bakhshish mangte hain

ونؤمن بك
aur tuj par imaan laate hain

ونتوكّل عليك
aur tuj par barosa rakte hain

ونثنى عليك الخير
aur teri buhut achi tareef karte hain

ونشكرك
aur tera shukar karte hain

ولا نكفرك
aur na shukri nahi karte

ونخلع
aur alag karte hain

ونترك
aur chodhte hai

من يّفجرك
us shakhs ko ju teri na farmaani karte hai hain

اللهم
A Allah

ايّاك
sirf teri

نعبد
hum e'baadat karte hain

ولك
aur tere hi liye

نصلّى
namaaz padhte hain

ونسجد
aur sajda karte hain

واليك
aur teri hi taraf

نسعى ونحفد
dorte hain aur khidmat ke liye hazir hote hain

ونرجوا رحمتك
aur teri rahmat ke umeed waar hain

ونخشى عذابك
aur tere a'zaab se darte hain

انّ عذابك الجدّ بلكفّار ملحق
bashak tera a'zaab haq kafiroon ko milne wala hai.
_______________________________________________________________
 

Globalpeace

Banned
اسلام علیکم

آپ اردو میں کیوں نہیں لکھتیں؟​
:bismillah:
Asalaam alaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Mein namaaz ka tarjumah lik rahi hoon q k buhut se aase loog hain ju namaaz partey hain lekin ye ma'aloom nahi huta ke kia kah rahe hain Allah ta'ala se. aur jalde jalde parke namaaz khatem kartey hain.
is liye hamarey liye zaroori hai ke hum namaaz ko samaj kar parhey.
waalaikum salaam warahmatullahi wabarakatuhu :hijabi:
 

Slave-of-Allah

Junior Member
:bismillah:

I'm gonna try this... i don't know like anything though...i only know Bangla so i'm kinda ajoining things that sound alike and working on this...

PLease tell me how wrong I am.. it will be interesting!!!



ok... so that's Salah



i remember when i was little i learned 'q' in either hindi/urdu was 'what' or 'why' but i'm not sure which... 'buhut' meaning like a lot of?? or many times??

I like this one... Allah ta'ala



ok now... 'jalde' means quickly right? so i assume park is park.. lol 'Khatam' is finish.. 'kartey' means like did..

so over all i guess it means 'i really really quickly finished Salah in the park'?? for that sentence??

very faulty and not good... but hey, if anyone has time and knows Urdu would u translate the real meaning?? :D :D :D

:wasalam:

:salam2:
OMG! i'm sorry but i couldn't stop laughing after reading this post lol nice attempt though :)
:wasalam:
 

samiha

---------
Staff member
:salam2:

Oh Darn it! Just when I thought I could get away with quietly deleting my posts, it had to recieve new recognition ;)

lol, yeh, I know, pretty bad right? lol, it's ok though, it's good to mess things up every once in a while. It's the only way you learn right? Although, yea, I did do a horrid job and am still wanting to delete it :redface:

But where's the fun it that? You learn from your mistakes and now I realize that:

Mein namaaz ka tarjumah lik rahi hoon q k buhut se aase loog hain ju namaaz partey hain lekin ye ma'aloom nahi huta ke kia kah rahe hain Allah ta'ala se. aur jalde jalde parke namaaz khatem kartey hain.
is liye hamarey liye zaroori hai ke hum namaaz ko samaj kar parhey.

Means About:

"I am writing salat prayers translation because many peope don't understand what they recite/pray during their salat to Allah(swt) and they read/finish salat very quickly."

Alhamdulillah for copy and paste....

AND Do not let Parks in the Urdu language decieve you. ... :p

ok, now I am going to leave before I truly bash my linguist abilities.

hmmm... btw, Since I did go really off topic due to my comments, should I remove them regardless?
 
Top